Safed kurte me khada wo Shaqs .. khud ko Gulzar batata hai ..
Shayar kehta hai khud ko ....
mene suna hai bada naam hai uska .. suna hai gum bhula deta hai apne lafzon ke marham se..
ek ruhi ke phaaye ke jaisa dard ko sehla deta hai ..dard gayab kar jaata hai ..
khud ko ... gulzar bataata hai ...
purana chashma, wo naye andaz me pehan kar har baar... ek kavita padta hai ..
awaz se to mujhko ek boodha, Thaka hua ..sanjida sa koi shaqs dikhayi padta hai ..
par ehsaas sabko ek Naujawaan ka kara jata hai...
khud ko gulzar bataata hai ..
kabhi kisi khatt ka zikra karta ..kabhi hawaon ki mehak samjhata ..
kabhi Ishq me dooba dikha karta .. kabhi Tanha nazar aata ..
Kalam haath me liye hue .. na jaane kyun Ishaaron mein Sab kuch Samjhaata ..
koi ishq naami kaanch uske dil me chubha hai shayad kabse...
wo chubhan se pareshan mujhe sadiyon se nazar aata hai...
Khud ko Gulzar bataata hai ...
ek cheeni ki bori chahiye usko .. na jaane kyun ...
maangta hai Cheeni to sab kehte hai diabaties ho jayegi sahab ..
kam cheeni khaya kijiye ..
Shayad ,Shakkar me milakar gam apne wo aksar pee jata hai .
tabhi mithaas se bhara hua wo Zehar ki botal sa nazar aata hai ..
Khud ko Gulazar bataata hai .....
Safed kurte me khada wo Shaqs...
Tuesday, December 9, 2008
"Safed Kurte me Khada Wo Shaqs."...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

4 comments:
liked it :)
superb....fantastic!!!!
khoobsurat
kash gulzar padh le ye
"kabhi kisi khatt ka zikra karta "
=> aur mere ek khat mein lipti raat padhi hai :)
Ye pohonch hi jana chahiye un tak.. nihaayt hi khoobsurat zikr kiya hai Gulzaar sahab ka!
Post a Comment