Friday, September 28, 2007

"Ab me Boodha ho ChukA "




Ek din, ..me thak-kar...,zindagi se tang aakar...

apne bachhon ko pass bithakar ..

unhe ye samjhaya karta hoon ...

kya khoya kya paya mene ..unko bayan karta hoon ...




"Me boodha ho chuka ab ..

haalat meri theek nahi ...

kaya se pareshaan hu apni ..

kuch bhi mere liye asaan nahi ...



Do kadam chalta hoon, to saan fool jaati hai ..

baith kar fir utha hoon, to kamar dukhh jati hai ..



mene tumko paala posa .. par ab bhi kuch zimmedariyan baaki hain ..

Meri do do sundar bitiya raani ... abhi inki shaadi baaki hai..



Dawaiyon ka kharch kam hota to shayad inke gehne banwa leta ..

chote ladke ki school ki fees ..wakt wakt par bharwa deta ..



Har baar tumhare manchahe tohfe..

Diwali pe laane ka waada karta hoon ..

Par kya karun bachhon ,chhat ko dekho ..

har saal marammat kiya karta hoon ..



Na jaane kab tak jee paaunga ...

magar sach kehta hoon .., hoon me jab tak .

ek baap ka farz nibhaunga ..



me mar jaun to mujh par kharch na karna ..

halka sa hoon,shamshaan tak le jaane ke liye koi gaadi na karna..



me naam kuch kar jaun tumhare ..

aisa to mee paas kuch bhi nahin..




Haan, ek maafi naama de jaunga ..

gar mere bachhon bhool hoye kuch ..

maaf kar dena ..,me Ganga Nahaunga........."

Friday, September 14, 2007

"Yaadav Ji aur Pandey Ji"


i m postin sumthn wch is in a difft. genre ths time ..
This is teh Conv. between .. a yadav .. n a panDey ..
its a comic poSt...fer teh frst Time :P...


"Yaadav to Pandey""..

Yaadav : Pandey ji ...
Pandey : Ji yaadav ji ..
Yaadav : Kahan se hain aap ????
Pandey :Ji hum uttranchal se ..
Yaadav : uttranchal kahan hai ??
Pandey : Mazak kar rahe hain kya ??
Yaadav : arrey naahi pandey ...
Pandey : pandey "Ji" kahiye..!!
Yaadav : haan wahi ,..Joking nahi na kar rahe hum..humaar geography me thoda handwa tight hai ...
Pandey:  ji uttranchal India me hai aur  kahan .. !!
Yaadav : O hi to humka nahi na pata ki India me kahan hai ??:P
Pandey : UFF.....!!
Yaadav :  Arrey narbhasaiyega nahi .. hum funn kar raha hu ... :P ...

(after a while) ....

Yaadav :Paandey ji ..
pandey : ji kahiye ..
Yaadav : Sasur thhand bahut jiyaada hai ..
Pandey : haan to aapko kambal chahiye ?? me doon ?
Yaadav : HAHAHAHHAAH !!(laughs ina bihari stYle)
Pandey : kya hua ??!!
Yaadav : hum bihari log kambal nahi.."khamba" use kare hain ..
Pandey : khamba ??!!
Yaadav : ka hua ?? dunt know khamba ?
pandey : ji me samajh gaya yaadav ji  ..
yaadav : haan to lijiyega kya ???Total mindwa phireshh ho jayega gaarantee ke sath !!..
Pandey : ji nahi me nahi peeta ... !!
Yaadav : arrey peeta to hum bhi nahi hoon magar pilaata sabko hoon :P HAA HAA HAA(laughs ina bihari stYle)....
Pandey : Mazaak tha ??
Yaadav : Arrey narbhasaiyega nahi na ... hum fun kar raha hu ....

(after a while)..

Yaadav : achha paandey ji .. !!
Pandey : jiiii yaadav ji ...
Yaadav : hum shahrukh jaisa lagta hoon ka ??
Pandey : Kya ?? kya bakwas hai ye ?? kisne kaha aapko ??
Yaadav : humaar joru(wife) hume roz kahet rahi .. ki shahrukhwa ka ektto copy hun ..
Pandey : ji nahi aap nahin lagte ...
Yaadav : to you tell, kiske jaisa lagta hoon ??
Pandey : ji me film nahi dekhta ...
Yaadav : dekhta to hum bhi nahi hoon..par phir bhi sab heero jaisa lagta hoon..HAA HAA HAA(laughs ina bihari stYle)...
Pandey : AAP BAKSHIYE MUJHE !!!
Yaadav : Arrey narbhasaiyega nahi na ... hum fun kar raha hu .....

(after a while)...
This Time Pandey Asks yadav ..

Pandey :  yaadav jiiii...
yaadav : arrey waah .. aap humaar name pukaare .. kahiye kahiye .(gets Xited)
pandey : aap bachpan se hi aise hain ??!!
Yaadav : ji haan .. hum bachpan se hi sMart boy hoon .. :)
Pandey : Kamaal hai ... AApki dharampatni ne to mujhse  kuch aur hi kaha tha aapke baare me..
Yaadav : hain ?? :-O
Pandey : HAA HAA HAA..(laughs in a bihari stYle to tease him more :P)...
" Arrey narbhasaiyega nahi na ... hum fun kar raha hu ...."

Thursday, September 13, 2007

" Wo january ki sard raat"


Lekar baitha hu aaj me kaagaz aur ye kalam ..
"aur dil dhadak raha hai"..

le li hai haath me fir wahi botal...
"aur dil behak raha hai"..

Zikra chhed raha hu january ki us sard raat ka ..
"aur dil machal raha hai"

Chupke chupke chhat par unki khada tha me ek shawl lapete ..
thi sard hawa, thi sard fiza..
par garam tha jism jaise agan lapete...

kab aayenge wo bhi chhat par.
yahi soch soch muskaata tha ..
har halki c aahat pe bhi ...
unhi ka khayal aata tha...

"halaat bade naazuk the yaaraon ..
zara thehro ..khud ko sambhaal lu yaaron"..

bin piye jaise behak raha tha me ..
sard hawaon se nahi , unki saanso ki garmi se kapkapa raha tha me..

Pass bithaya apne unko ..
haal bataya apna unko ..
Kal raat jo dekha khwaab tha mene ..
seene se laga kar sunaya unko ..

wo hass diye ,bole.."kareeb aao mere"

aankho ko chooma , bole .. "ab door na jane mujhse"

gaalon ko chooma , bole ..
"har lamha intezaar kiya karti hoon, bin tere mar mar ke jiya karti hoon"..

adhkhule hoto ko chooma, bole ..
"khwaab nahi hakikat hai ye ..
haan me tumse shiddat se mohobbat karti hoon"..

wo nasha na jaane kaisa tha mujhpar ..
wo thakan na jaane kaisi c thi ...
ek junoon tha mohobbat me fana hone ka ..
ek sukoon tha pal bhar ke liye zamaane se juda hone ka..

raat guzar rahi thi .. savere ka paigaam aaya tha ..
ab me samajh gaya tha me , juda hone ka wakt aaya tha ..
ruksat lene ko na hum kahen ,na wo kahen..ek sannaata sa chaaya tha ..
Dekha jo gaur se aankho me unki..
ek bheega sa moti nazar aaya tha ..

wo raat na jaane kyun choti lagi mujhko ..
wo subah na jane kyu khoti lagi mujhko ..
 pehlu se nikal kar unke ..apne des jana tha mujhko ..
magar unke bina .. des mera..Pardes sa nazar aaya mujhko ...........